Urdu Famous Poetry

Explore the beauty of Urdu poetry, where emotions flow freely. Dive into romantic shero shayari. Here are the best collection of shairy.
 
Urdu Famous Poetry

Urdu Famous Poetry

Explore the beauty of Urdu poetry, where emotions flow freely. Dive into romantic shero shayari and deep verses about life. Discover famous Poetry lines that touch hearts. Enjoy the essence of romance and timeless wisdom in every word.

Urdu Peotry

Urdu Peotry

چل پڑا ہوں میں زمانے کے اصولوں پہ محسن 

میں اب اپنی ہی باتوں سے مکر جاتا ہوں

Chal pada hoon main zamane ke asoolon pe mohsin

Main ab apni hi baaton se mukar jata hoon

______________________

Urdu Famous Poetry

آج وہ شخص بھی انجان بنا ہے مجھ سے 

جو کبھی پھوٹ کے رویا تھا مرے جاتے ہوئے

Aaj woh shakhs bhi anjaan bana hai mujh se

Jo kabhi phoot ke roya tha mere jaate hue

________________________

Urdu Famous Poetry

تھی، مگر اتنی رائیگاں بھی نہ تھ

آج کچھ زندگی سے کھو بیٹھے

Thi, magar itni raigagan bhi na thi

Aaj kuchh zindagi se kho baithe

__________________________

Urdu Famous Poetry

کیا  کریں لے  کے بھلا  کوثر و تسنیم کے جام

رِند  پیاسے  تو  ترے   شربتِ دیدار  کے ہیں

Kya karein le ke bhala kausar o tasneem ke jaam

Rind piyase to tere sharbat-e-deedar ke hain

_________________________

Urdu Famous Poetry

عبادتوں میں مصروف ہیں سبھی آج کل

دلوں کو توڑ کر سجدوں میں رویا جا رہا ہے

Ibadaton mein masroof hain sabhi aaj kal

Dilon ko tod kar sujdo mein roya ja raha hai

___________________________

Urdu Famous Poetry

بات تو صرف اک رات کی تھی

مگر انتظار آپ کا عمر بھر کر لیا

Baat to sirf ek raat ki thi

Magar intezar aap ka umar bhar kar liya

________________________

Famous Shayari

Famous Urdu Poetry

دُکھ ہوا آج دیکھ کر اُس کو

وہ تو ویسا ہی خوبصورت ہے

Dukh hua aaj dekh kar us ko

Woh to waisa hi khoobsurat hai

_________________________

Urdu Famous Poetry

‏وہ موسموں سے تعلق نہیں رہا باقی

تُمہارے بعد بہار و خزاں سے کُچھ نہ کہا

Woh mosamon se talluq nahi raha baqi

Tumhare baad bahaar o khizaan se kuchh na kaha

_________________________

Urdu Famous Poetry

اس طرح غور سے مت دیکھ میرے ہاتھ کو فرازؔ 

 ان لکیروں میں حسرتوں کے سواکچھ بھی نہیں

Is tarah ghoor se mat dekh mere haath ko Faraz

In lakeeron mein hasraton ke siwa kuch bhi nahi

__________________________

Urdu Famous Poetry

عشق ویرانے کی اک راہ گزر ہے جس پر

دل ٹھر جاتا ہے اور عمر گزر جاتی ہے

Ishq veerane ki ek raah-guzar hai jis par

Dil thar jata hai aur umr guzar jati hai

___________________________

Urdu Famous Poetry

کون دیکھتا ہے کسی کو اب سیرت اخلاق کی نظر سے

صرف خوبصورتی کو پوجتے ہیں نئے زمانے کے لوگ

Kaun dekhta hai kisi ko ab seerat-e-akhlaq ki nazar se

Sirf khubsurti ko pujte hain naye zamane ke log

__________________________

Urdu Famous Poetry

رونا چاہے تو سرِ عام کسی کو رو لے 

آدمی اتنا بھی آزاد نہیں ہو سکتا

Rona chahe to sar-e-aam kisi ko ro le

Aadmi itna bhi azad nahi ho sakta

_________________________

Shero Shayari Urdu

Shero Shayari Urdu

وہ جو سرمایۂ دل و جاں تھی

اب وہی آرزو ، پرائی ھے

Woh jo sarmayeh dil o jaan thi

Ab wahi arzoo, parai hai

____________________________

Urdu Famous Poetry

بکھرے بکھرے سہمے سہمے روز و شب دیکھے گا کون 

لوگ تیرا جرم دیکھیں گے سبب دیکھے گا کون

Bikhre bikhre sehme sehme roz o shab dekhe ga kaun

Log tera jurm dekhein ge, sabab dekhe ga kaun

__________________________

Urdu Famous Poetry

ہر طرح کی بے سرو سامانیوں کے باوجود

آج وہ آیا تو مُجھ کو اپنا گھر اچھا لگا

Har tarah ki be sarw samaniyon ke bawajood

Aaj woh aaya to mujh ko apna ghar acha laga

___________________________

Urdu Famous Poetry

‏کہیں وہ ذائقہ تحلیل ہی نہ ہوجائے

میں اس سے مل کے کسی سے نہیں ملا برسوں

Kahin woh zaiqa tahlil hi na ho jaye

Main us se mil ke kisi se nahi mila barson

___________________________

Urdu Famous Poetry

میرا ظرف سمجھو یا میری ذات کا پردہ

جب میں بکھرتا ہوں تو خاموش رہتا ہوں

Mera zarf samjho ya meri zaat ka parda

Jab main bikhrta hoon to khamosh rehta hoon

____________________________

Urdu Famous Poetry

آنکھ تو آنکھ ہے پھر خواب سجا لیتی ہے

 یہ میری ڈھلتی ہوئی عمر کہاں دیکھتی ہے

Aankh to aankh hai phir khwab saja leti hai

Yeh meri dhalti hui umar kahan dekhti hai

_____________________________

Urdu Shayari Lines

Urdu Poetry Lines

ایک بدذات کی چاہت کا اسیر آدمی تھا

ہنسی آتی ہے کہ میں کتنا فقیر آدمی تھا

Ek badzat ki chahat ka asir aadmi tha

Hansi aati hai ke main kitna faqeer aadmi tha

____________________________

Urdu Famous Poetry

کرتا ہوگا زمانہ بھی گردش تیرے گِرد

مگر میں اور ہوں، میری حدیں اور ہیں

Karta hoga zamana bhi gardish tere gird

Magar main aur hoon, meri haddain aur hain

___________________________

Urdu Famous Poetry

اٹھا پردہ تو محشر بھی اٹھے گا دیدۂ دل میں

قیامت چھپ کے بیٹھی ہے نقابِ روئے قاتل میں

Utha parda to mahshar bhi uthay ga deeda-e-dil mein

Qiyamat chhup ke baithe hai naqab-e-ruye qatil mein

____________________________

Urdu Famous Poetry

میں کہ خود کو بھی کب میسر ہوں

بے سبب ہے  تِرا خفا ہونا

Main ke khud ko bhi kab meeser hoon

Be sabab hai tera khafa hona

____________________________

Urdu Famous Poetry

دکھ پرونے کی کوئی شکل نہیں ہوتی ہے

رات کے پچھلے پہر لوگ مگر روتے ہیں

Dukh parony ki koi shakl nahi hoti hai

Raat ke pichle pehar log magar rote hain

___________________________

Urdu Famous Poetry

ایک ہی شخص کی ہوتی ہے یہاں گنجائش

خانہ دل کبھی بازار نہیں ہو سکتا

Ek hi shakhs ki hoti hai yahan gunjaish

Khana dil kabhi bazaar nahi ho sakta

____________________________

Shayari about Romance

Shayari about Romance

اب تیری کال کی امید تو نہیں ہے لیکن 

جانے کیا سوچ کہ نمبر نہیں بدلا میں نے

Ab teri call ki umeed to nahi hai lekin

Jaane kya soch ke number nahi badla main ne

____________________________

Shayari about Romance

میری عزت ہمیشہ کرنا تم 

پھول تو سب ہی لاتے رہتے ہیں

Meri izzat hamesha karna tum

Phool to sab hi late rehte hain

______________________________

Urdu Famous Poetry

تا حیات کس نے حیات پائی ہے

اپنے حصے کی گزاروں گی چلی جاؤں گی

Ta hayat kis ne hayat payi hai

Apne hisse ki guzaroon gi chali jaaoon gi

____________________________

Urdu Famous Poetry

رنگ باتیں کریں اور باتوں سے خوشبو آئے

درد پھولوں کی طرح مہکے اگر تو آئے

Rang baatein karein aur baaton se khushboo aaye

Dard phoolon ki tarah mehke agar tu aaye

_____________________________

Urdu Famous Poetry

اس نے اپنے خط میں مجھ کو، کتنے درد سے لکھا تھا

اب تو گاؤں آیا کر نا، اب تو سڑکیں پکی ہیں

Us ne apne khat mein mujh ko, kitne dard se likha tha

Ab to gaon aaya kar na, ab to sarakain pakki hain

_______________________

Urdu Famous Poetry

ابھی تم ہو کبھی ہم تھے یہی دستور دنیا ہے

کسی  کی  آنکھ  کا  تارا  ہمیشہ  کون رہتا ہے

Abhi tum ho kabhi hum thay yehi dastoor duniya hai

Kisi ki aankh ka tara hamesha kaun rehta hai

__________________

Here you can read Poetry in Urdu.

Follow my Instagram for daily updates and contact, Zube.

Post a Comment