Best Poetry in Urdu | 2 Lines Sad Urdu Poetry | Sad Shayari - BlogsinUrdu
Urdu poetry is a rich and diverse culture that has evolved over centuries. It is not just a form of teaching, but a way of life, culture and identity for millions of people. Shayari comes in many shapes and forms such as ghazal, nazm, kaside, marsiya, rubai and masnavi.
Urdu poetry is a living and evolving art that keeps evolving with changing times and people's needs.
Best Shayari in Urdu
Kal raat bahut ghour kea ha so hum ay jaun
Teh kar k uthy hain k tammanah nah karyn gy.
کل رات بہت غور کیا ہے سو ہم اے جون
طے کرکے اٹھے ہیں کہ تمنا نہ کریں گے۔
Jisko main apna bnata hu bichad jata hai.
جس کو میں اپنا بناتا ہوں بچھڑ جاتا ہے۔
Cheezain badlati hain, Dost-o-Ehbab chour jaty hain lekin,
Zindagi kisi k lea nahe rukti.
چیزیں بدلتی ہیں، دوست و احباب چھوڑ جاتے ہیں
لیکن زندگی کسی کےلیے نہیں رکتی۔
Qurb acha hai magr itne bhe shiddat sy na mil
Ye na ho tujh ko mery roag purany lagg jayen.
قرب اچھا ہے مگر اتنی بھی شدت سے نہ مل
یہ نہ ہو تجھ کو میرے روگ پرانے لگ جائیں۔
"Duniya ki mushkil tareen aur thaka dene wali jang, aap ki apne aap se hoti hai."
دنیا کی مشکل ترین اور تھکا دینے والی جنگ
آپ کی اپنے آپ سے ہوتی ہے۔
Ek din tujhko achanak khabar aayegi,
Tere bimaar shifa yaab nahi ho paye.
ایک دن تجھ کو اچانک خبر آئے گی
تیرے بیمار شفایاب نہیں ہوپائے۔
Sardiyon mein har cheez khubsurat hoti hai,
Siwaye ghareebon ke kanpne ke.
سردیوں میں ہر چیز خوبصورت ہوتی ہے
سوائے غریبوں کے کانپنے کے۔
Itnay bhi muhtaram nahi hain aap,
Aajzi meri tarbiyat mein hai.
اتنے بھی محترم نہیں ہیں آپ
عاجزی میری تربیت میں ہے۔
Yun to har shaam umeedon pe guzar
Yun to har shaam umeedon pe guzar jaati hai,
Aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya.
یوں تو ہر شام امیدوں پہ گزر جاتی ہے
آج کچھ بات ہے جو شام پہ رونا آیا۔
Sab se zyada bay-sharmi ki baat hai,
Be namazi hona.
سب سے زیادہ بےشرمی کی بات ہے
بے نمازی ہونا۔
Tu agar loot bhi aaye to tere aane se,
Tere jaane ka nuksaan to nahin jaa sakta.
تو اگر لوٹ بھی آئے تو تیرے آنے سے
تیرے جانے کا خسارہ تو نہیں جاسکتا۔
Yeh kya jab bhi milo, pooch ke bata ke milo,
Kabhi karo mujhe hairaan, achanak aake milo.
یہ کیا جب بھی ملو، پوچھ کے بتا کے ملو
کبھی کرو مجھے حیران، اچانک آکے ملو۔
Hum woh hain ke jin ke hisse mein
khasary hi khasary hain, kam o baish.
ہم وہ ہیں کہ جن کے حصے میں خسارے ہی خسارے ہیں کم و بیش۔
My favourite Urdu word is
"کاش"
کاش یوں نہ ہوتا، یوں ہوجاتا۔
Aur woh dour bhi aaya meri zindagi mein,
Jab apni pasand se nafrat si hogayi.
اور وہ دور بھی آیا میری زندگی میں
جب اپنی پسند سے نفرت سی ہوگئی۔
Main ne apni zindagi mein roshni lanay ke liye
Jis shakhs ka hath thaama, woh andheray ka haami nikla.
میں نے اپنی زندگی میں روشنی لانے کیلیے
جس شخص کا ہاتھ تھاما وہ اندھیرے کا حامی نکلا۔
Khudkushi ke aksar waqiat mein log
Khudkushi ke aksar waqiat mein log marna nahi chahte,
Bas woh chahte hain ke unka dard mar jaye.
خودکشی کے اکثر واقعات میں لوگ مرنا نہیں چاہتے
بس وہ چاہتے ہیں کہ انکا درد مر جائے۔
Shamain katti nahin, saal guzar jaate hain.
شامیں کٹتی نہیں، سال گزر جاتے ہیں۔
Umrein beet gayi ek baat samajhne mein Jaun,
Ho jaaye jin se mohabbat, woh qadar kyun nahi karte.
عمر بیت گئی ایک بات سمجھنے میں جون
ہوجائے جن سے محبت وہ قدر کیوں نہیں کرتے۔
Ye pare hain hamare khwab, nakamiyan, ana, ghuroor,
Akr, narazgiyan, jhagre, fasaad, haasil aur lahasil.
یہ پڑے ہیں ہمارے خواب، ناکامیاں، انا، غرور
اکڑ، ناراضگیاں، جھگڑے، فساد، حاصل اور لاحاصل۔
Agar tum dhoop ho to humari chhaon haazir hai,
Tumhare liye yeh dil aur pura gaon haazir hai.
اگر تم دھوپ ہو تو ہماری چھاؤں حاضر ہے
تمہارے واسطے یہ دل اور پورا گاؤں حاضر ہے۔
Mohabbat bhi tum se hai, rafaqaten bhi tujh se.
محبت بھی تم سے ہے، رفاقتیں بھی تجھ سے۔
Best Poetry in Urdu
"Aurat is mard se bohat jaldi bezaar ho jati hai,
Jo us se sachi mohabbat karta hai aur wohi mard,
Zarurat se zyada aurat ko maghroor bana deta hai,
Phir woh us se achay mard ki talash karti hai."
عورت اس مرد سے بہت جلدی بیزر ہوجاتی ہے
جو اس سے سچی محبت کرتا ہے اور وہی مرد
ضرورت سے زیادہ عورت کو مغرور بنادیتا ہے
پھر وہ اس سے اچھے مرد کی تلاش کرتی ہے۔
Kuch baat hai teri yaadon mein,
Jo baat yahan tak aa pahunchi.
کچھ بات ہے تیری یادوں میں
جو بات یہاں تک آپہنچی۔
Mohabbat karne walon ki tijarat bhi anokhi hai,
Munaafi chhod dete hain, nuksan bant lete hain.
محبت کرنے والوں کی تجارت بھی انوکھی ہے
منافع چھوڑ دیتے ہیں خسارے بانٹ لیتے ہیں۔
Teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai
Teri aankhon ke siwa duniya mein rakha kya hai?
تیری آنکھوں کے سوا دنیا میں رکھا کیا ہے۔
Jawani mein sab se zyada be sukooni ki wajah,
Na-mehram se mohabbat hai.
جوانی میں سب سے زیادہ بے سکونی کی وجہ
نامحرم سے محبت ہے۔
Mujh se bichar kar uss ne naya ghar basa liya,
Aur mujh se apna aap basaya nahin jaa sakaa.
مجھ سے بچھڑ کر اس نے نیا گھر بسا لیا
اور مجھ سے اپنا آپ بسایا نہ جاسکا۔
Bohat azaat hoti hai jab koi kahe ke,
Is ke toh maan baap bhi nahi hain.
بہت اذیت ہوتی ہے جب کوئی کہے کہ
اس کے تو ماں باپ بھی نہیں ہیں۔
Is zameen se jannat ki taraf ek hi raasta jaata hai,
Hum usse mohabbat kehte hain.
اس زمین سے جنت کی طرف ایک ہی راستہ جاتا ہے
ہم اسے محبت کہتے ہیں۔
Is zameen par kuch bhi iss qadar qeemti nahi
Jitni ek sachi dosti.
اس زمین پر کچھ بھی اس قدر قیمتی نہیں
جتنی ایک سچی دوستی۔
Mujhe sikhade koi lehjon ka hunar,
Mujh se mutasir nahi hote yeh duniya walay.
مجھے سکھا دے کوئی لہجوں کا ہنر
مجھ سے متاثر نہیں ہوتے یہ دنیا والے۔
Woh shakhs tha hi kuch aisa ke bhoolta hi nahi,
Wagarna log to milte bicharte rehte hain.
وہ شخص تھا ہی کچھ ایسا کہ بھولتا ہی نہیں
وگرنہ لوگ تو ملتے بچھڑتے رہتے ہیں۔
Best Poetry in Urdu
Loug taweel rafaqat se nahi,
apni gehri taseer ki bina par yaadon mein rehte hain.
لوگ طویل رفاقت سے نہیں، اپنی گہری تاثیر
کی بنا پر یادوں میں رہتے ہیں۔
دنیا کی سب سے بہترین موسیقی تمہاری قہقہے کی ہے۔
میں چاہتا ہوں تمہاری مسکراہٹ کا ترجمہ پنجابی میں کروں
اور ساتھ لکھوں۔۔
(قربان جاواں چس آگئی قسمے)
Nibhane walay hi toh nahi milte,
Chahne walay toh har mod par khade hain.
نبھانے والے ہی تو نہیں ملتے
چاہنے والے تو ہر موڑ پر کھڑے ہیں۔
Lazatein qurb o judai ki hain apni apni,
Mustaqil hijr hi acha nah wisaal acha hai.
لذتیں قرب و جدائی کی ہیں اپنی اپنی
مستقل ہجر ہی اچھا نہ وصال اچھا ہے۔
Zindagi ne zindagi bhar gham diye.
زندگی نے زندگی بھر غم دیئے۔
Faasle iss liye bhi laazim thay,
Keh woh har shakhs ke qareeb tha.
فاصلے اس لیئے بھی لازم تھے
کہ وہ ہر شخص کے قریب تھا۔
Kitnay ghamgeen hain yeh bahir se hanstay walay.
کتنے غمگین ہیں یہ باہر سے ہنسنے والے۔
Matlab hai toh zikar hai, warna kisko kis ki fikar hai.
مطلب ہے تو ذکر ہے ورنہ کس کو کس کی فکر ہے۔
Mohabbat mein do log jhumkun ki tarah
Mohabbat mein do log jhumkun ki tarah hote hain,
Ek kho jaaye toh doosra kisi kaam ka nahi rehta.
محبت میں دو لوگ جھمکوں کی طرح ہوتے ہیں
ایک کھو جائے تو دوسرا کسی کام کا نہیں رہتا۔
Tu ne hamesha aane mein der ki,
Main ne hamesha apni ghadi ko kharab samjha.
تو نے ہمیشہ آنے میں دیر کردی
میں نے ہمیشہ اپنی گھڑی کو خراب سمجھا۔
Main ne musiqi ki dhun mein magn rehne se lekar,
Quran parh kar aansu bahane tak ka safar kiya hai.
میں نے موسیقی کی دھن میں مگن رہنے سے لیکر
قرآن پڑھ کر آنسو بہانے تک کا سفر کیا ہے۔
Ek umar guzar aaye toh yeh,
Udaas shaamein bhi guzar hi jaayengi.
اک عمر گزار آئے تو یہ
اداس شامیں بھی گذر ہی جائیں گی۔
Taasub, iss karam ke mein kabhi tanha nahi rehti,
Ke jis din tum nahi aate, tumhari yaad aati hai.
تصدق اس کرم کے میں کبھی تنہا نہیں رہتی
کہ جس دن تم نہیں آتے، تمہاری یاد آتی ہے۔
Nibhane walay manaya karte hain, chhora nahi karte.
نبھانے والے منایا کرتے ہیں، چھوڑا نہیں کرتے۔
Aurat se mohabbat karna jiblat hai,
Usy khush rakhna fun hai, aur use barqarar rakhna mardangi.
عورت سے محبت کرنا جبلت ہے، اسے خوش رکھنا
فن ہے، اور اسے برقرار رکھنا مردانگی۔
Is duniya mein har talluq ek qeemat ka mohtaaj hota hai.
Jis din aap woh qeemat ada karne se inkar kar denge,
woh talluq khatam ho jayega.
اس دنیا میں ہر تعلق ایک قیمت کا محتاج ہوتا ہے۔
جس دن آپ وہ قیمت ادا کرنے سے انکار کر دینگے وہ
تعلق ختم ہو جائے گا۔
Khizaan sirf darakhton aur unke patton
Khizaan sirf darakhton aur unke patton par nahi utarti,
dilon mein bhi utarti hai aur badan ko zardi se bhar deti hai.
خزاں صرف درختوں اور انکے پتوں پر نہیں اترتی، دلوں
میں بھی اترتی ہے اور بدن کو زردی سے بھر دیتی ہے۔
Aurat ki naak bhi beh rahi ho to
aisa lagta hai nathli mein heera chamak raha hai.
عورت کی ناک بھی بہہ رہی ہو تو ایسا لگتا ہے نتھلی
میں ہیرا چمک رہا ہے۔
Duniya mein har woh cheez dilkash hai jiski nisbat aap se hai.
دنیا میں ہر وہ چیز دلکش ہے جسکی نسبت آپ سے ہے۔
Mard ki sab se badi kamzori mardana kamzori nahi balkay ek khoobsurat aurat hai.
مرد کی سب سے بڑی کمزوری مردانہ کمزوری نہیں بلکہ
ایک خوبصورت عورت ہے۔
Hum qabron par paon rakhne se darrne walay log
Kaise zinda dilon ko rondd dete hain.
ہم قبروں پر پاؤں رکھنے سے ڈرنے والے لوگ
کیسے زندہ دلوں کو روند دیتے ہیں۔
Phir uski yaad mein tarapne ke din aaye.
پھر اسکی یاد میں تڑپنے کے دن آئے۔
Shuru ke dino mein to bohot raahatein milti thi,
phir ek roz woh bezar hogaya mujh se.
شروع دنوں میں تو بہت راحتیں میسر تھیں، پھر ایک
روز وہ بیزار ہوگیا مجھ سے۔
Sardiyan baad mein aati hain, shaamein pehle udaas
Sardiyan baad mein aati hain, shaamein pehle udaas ho jaati hain.
سردیاں بعد میں آتی ہیں شامیں پہلے اداس ہوجاتیں۔
Sochon to saari umr mohabbat mein kat gayi,
Dekhon to ek shakhs bhi mera nahin hua.
سوچوں تو ساری عمر محبت میں کٹ گئی
دیکھوں تو ایک شخص بھی میرا نہیں ہوا۔
Be bassi itni buri cheez hai ke kabhi kabhi,
Ek lambi saans lene ke alawa insaan kuch nahi kar sakta.
بے بسی اتنی بری چیز ہے کہ کبھی کبھی
ایک لمبی سانس لینے کے علاوہ انسان کچھ نہیں کرسکتا۔
Teri yaadon se bahar nikloon to zamana dekhun.
تیری یادوں سے باہر نکلوں تو زمانہ دیکھوں۔
Jis aurat se aap mohabbat karte hain
usay bhoolnay ka sab se aasaan tareeqa yeh hai
ke us se shadi kar lein. Warna aap us se mohabbat hee karte rahenge.
جس عورت سے آپ محبت کرتے ہیں اسے بھولنے کا
سب سے آسان طریقہ یہ ہے کہ اس سے شادی کرلیں۔
ورنہ آپ اس سے محبت ہی کرتے رہیں گے۔
Zindagi tanhai mein hee behtar hai.
زندگی تنہائی میں ہی بہتر ہے۔
Behtar hoon main yeh kehna to rasmo adaab hai,
Sach yeh hai tere baad meri tabiyat kharab hai.
بہتر ہوں میں یہ کہنا تو رسما آداب ہے
سچ یہ ہے تیرے بعد میری طبیعت خراب ہے۔
Yeh udaas sa mausam dil udaas kar deta hai
Yeh udaas sa mausam dil udaas kar deta hai.
یہ اداس سا موسم دل اداس کردیتا ہے۔
Sab kuch Allah par chhod kar,
Mutmaeen hote hain udaas nahi.
سب کچھ اللہ پر چھوڑ کر
مطمئن ہوتے ہیں اداس نہیں۔
Chai ka cup haath mein lekar tumhe sochna,
Mere behtareen lamhon mein se ek lamha hai.
چائے کا کپ ہاتھ میں لیکر تمہیں سوچنا
میرے بہترین لمحوں میں سے اک لمحہ ہے۔
Mujh par kisi ke husn ka hota nahi asar,
Aisi lagi hui hai kisi ki nazar mujhe.
مجھ پر کسی کے حسن کا ہوتا نہیں اثر
ایسی لگی ہوئی ہے کسی کی نظر مجھے۔
Tu ashnai shiddat-e-gham ho to kuch kahoon,
Kitna bada azaab hai jeena tere baghair.
تو آشنائے شدت غم ہو تو کچھ کہوں
کتنا بڑا عذاب ہے جینا ترے بغیر۔
Tumhein iss faani dunya mein har us cheez se bicharna hai,
Jis se tum mohabbat karte ho.
تمہیں اس فانی دنیا میں ہر اس چیز سے بچھڑنا ہے
جس سے تم محبت کرتے ہو۔
Aur phir majbooriyon ki hi fatah hoti hai,
Mohabbatein to hamesha haar jaya karti hain.
اور پھر مجبوریوں کی ہی فتح ہوتی ہے
محبتیں تو ہمیشہ ہار جایا کرتی ہیں۔
Sham se pehle ana, Dhoop sari dhal rahi ho
Sham se pehle ana,
Dhoop sari dhal rahi ho,
Phool sare khil gaye hon,
Mausam sare le ana.
شام سے پہلے آنا
دھوپ ساری ڈھل رہی ہو
پھول سارے کھل گئے ہوں
موسم سارے لے آنا۔
Waqt kabhi kabhi bohot khoobsurat hota tha,
Jab tum se baat karte karte mobile par din aur taarikh badal jaata tha.
کبھی کبھی یہ وقت بُہت خُوبصورت ہُوا کرتا تھا کہ
جب تم سے بات کرتے کرتے موبائل پر دِن اور تاریخ بدل جایا کرتے تھے۔
Aur ab hum duniya se kahin door,
Khoaye khoaye se rehte hain.
اور اب ہم دنیا سے کہیں دور
کھوئے کھوئے سے رہتے ہیں۔
Zindagi humare kehne mein nahi aane wali.
زندگی ہمارے کہے میں نہیں آنے والی۔
Un do logon ka juda rehna waqai kathin hai jinhon ne
ek doosre ko galey laga kar chahaton ka lams mehsoos kiya ho.
ان دو لوگوں کا جدا رہنا واقعی کٹھن ہے جنہوں نے ایک
دوسرے کو گلے لگا کر چاہتوں کا لمس محسوس کیا ہو۔
Ronaqain hain magar sukoon nahi,
Dil tawaif ke kothay jaisa hai.
رونقیں ہیں مگر سکون نہیں
دل طوائف کے کوٹھے جیسا ہے۔
Mohabbat ki baatein karne walay
Muhabbat ki baatein karne walay,
Muhabbat se baat nahi karte.
محبت کی باتیں کرنے والے
محبت سے بات نہیں کرتے۔
Woh ehsaas hi kya jo dilaya jaaye.
وہ احساس ہی کیا جو دلایا جائے۔
Ain mumkin hai hum jannat mein bhi na milein,
Yahan zaat ka masla hai wahan darjaat ka.
عین ممکن ہے ہم جنت میں بھی نہ ملیں
یہاں ذات کا مسئلہ ہے وہاں دراجات کا۔
Azizat numa talluq se la-talluqi behtar hai.
اذیت نما تعلق سے لاتعلقی بہتر ہے۔
Main kahin moti, kahin pathar, kahin aaina thi.
میں کہیں موتی کہیں پتھر کہیں آئینہ تھی۔
Aap kehte hain to nibhate chale jayenge lekin
is talluq mein aziz ke siwa kuch bhi nahi.
آپ کہتے ہیں تو نبھاتے چلے جائیں گے لیکن
اس تعلق میں اذیت کے سوا کچھ بھی نہیں۔
Shaamein aksar udaas hoti hain.
شامیں اکثر اداس ہوا کرتی ہیں۔
Main door kisi buland pahaad ki choti par baith kar aasmaan ko
Bohat qareeb se dekh kar, bohat zyada
Rona chahti hoon.
میں دور کسی بلند پہاڑ کی بلند چوٹی پر بیٹھ کر آسمان کو
بہت قریب سے دیکھ کر، بہت زیادہ
رونا چاہتی ہوں۔
Best Poetry in Urdu
Koi tareed ka sadma hai, na asbaat ka dukh
Jab bicharna hi maqdoor hai, to kis baat ka dukh?
Meez par chai ka bhap urrata hua cup
Aur saath rakha hai na hone wali mulaqat ka dukh.
کوئی تردید کا صدمہ ہے، نہ اثبات کا دکھ
جب بچھڑنا ہی مقدر ہے، تو کس بات کا دکھ؟
میز پر چائے کا بھاپ اڑاتا ہوا کپ
اور ساتھ رکھا ہے نہ ہونے والی ملاقات کا دکھ۔
Yeh mera zarf tha ke tujhe chhod diya,
Warna log sanpon ko maar diya karte hain.
یہ میرا ظرف تھا کہ تجھے چھوڑ دیا
ورنہ لوگ سانپوں کو مار دیا کرتے ہیں۔
Sharafat ki duniya ka qissa hi khatam,
Ab jaisi duniya waise hum.
شرافت کی دنیا کا قصہ ہی ختم
اب جیسی دنیا ویسے ہم۔
Safaiyan dene se behtar hai ke,
Aap hamesha daagh daar hi rahein.
صفائیاں دینے سے بہتر ہے کہ
آپ ہمیشہ داغ دار ہی رہیں۔
Kya ho tere ghuroor ka jo mein,
Pukarna hi chhod doon?
کیا ہو تیرے غرور کا جو میں
پکارنا ہی چھوڑ دوں۔
Tu samajhta hai sirf tere hi gham mahtab hain,
Tum ne dekha hai kahan hai mujhe shaam ke baad.
تو سمجھتا ہے صرف تیرے ہی غم معتبر ہیں
تم نے دیکھا ہی کہاں ہے مجھے شام کے بعد۔
Jin ke jaane se jaan jaati thi,
Unka bhi jaana dekha hai humne.
جن کے جانے سے جان جاتی تھی
انکا کا جانا بھی دیکھا ہے ہم نے۔
Main ab woh hoon jise mohabbat pe etbaar nahi.
میں اب وہ ہوں جسے محبت پہ اعتبار نہیں۔
Main tere lams ko lafzon mein kis tarah laaun,
Tu mujhko chhoohta nahi, jaan nikaal deta hai.
میں تیرے لمس کو لفظوں میں کس طرح لاؤں
تو مجھ کو چھوتا نہیں، جاں نکال دیتا ہے۔
Rishte nibhane ka zarf na ho toh,
Rishte banane se bhi gurez kijiye.
رشتے نبھانے کا ظرف نہ ہو تو
رشتے بنانے سے بھی گریز کیجئے۔
Aks jaanan ki khair ho, Mola,
Khwaab aankhon samait toota hai.
عکس جاناں کی خیر ہو مولا
خواب آنکھوں سمیت ٹوٹا ہے۔
Dost jitney chaho banao magar
Dost jitney chaho banao magar,
Raazdaan hazaar mein se aik hi rakhho.
دوست جتنے چاہو بناؤ مگر
رازدان ہزار میں سے ایک ہی رکھو۔
Jis pe beetti hai sirf usi ko pata hota hai,
Baaki sab yahi kehte hain, chhoro koi baat nahi.
جس پہ بیتتی ھے صرف اسی کو پتہ ھوتا ھے
باقی سب یہی کہتے ھیں، چھوڑو کوئی بات نہیں۔
Koi hamari beintiha mohabbat se bezar ho jata hai,
Aur koi hamare rookhe jawabon par bhi sadaqay vaari jata hai.
کوئی ہماری بےانتہاہ محبت سے بیزار ہوجاتا ہے
اور کوئی ہمارے روکھے جوابوں پر بھی صدقے واری جاتا ہے۔
Phir yun hua ke lutf-e-deedar chhin gayi,
Ek shakhs meri aankh ke sab khwab le gaya.
پھر یوں ہوا کہ لذت دیدار چھن گئی
اک شخص میری آنکھ کے سب خواب لے گیا۔
Tumhare baad guzrein ge bhala kaise hamare din,
November se bachen ge to December maar daale ga.
تمہارے بعد گزریں گے بھلا کیسے ہمارے دن
نومبر سے بچیں گے تو دسمبر مار ڈالے گا۔
Mohabbat sheher se meelon door sunsaan jazeera hai,
Jahan jakar aksar masoom log bhatk jaate hain.
محبت شہر سے میلوں دور سنسان جزیرہ ہے
جہاں جاکر اکثر معصوم لوگ بھٹک جاتے ہیں۔
Shayad tum ne apna dil kisi ghair munasib zameen mein bo diya,
So tum murjha gaye.
شاید تم نے اپنا دل کسی غیر مناسب زمین میں بو دیا
سو تم مرجھا گئے۔
Ab to yun hai ke tere hijr mein rone lage,
Aankh mein khoon to kya khoon sa paani bhi nahi.
اب تو یوں ہے کہ تیرے ہجر میں رونے لےلیے
آنکھ میں خون تو کیا خون سا پانی بھی نہیں۔
Is dor-e-nagawar mein maut badi nemat hai.
اس دور ناگوار میں موت بڑی نعمت ہے۔
Main aisi umar se dukh jhelne laga,
Jo aam tor pe hoti hai khelne ke liye.
میں ایسی عمر سے دکھ جھیلنے لگا
جو عام طور پہ ہوتی ہے کھیلنے کیلیے۔
Here is best 1000+ collection of Urdu Poetry.
My Facebook Shayri page Zube.