Urdu Quotes |
Urdu Quotes
Urdu quotes are a beautiful and complex combination of poetic expression and profound wisdom. Urdu, being a language rich in literary heritage, has produced some of the most eloquent and influential quotes that can inspire, motivate and enlighten anyone who comes across them.
Mohabbat ya izzat kisi ko itni mat do k wo tumhari qadar karna bhool jye.
Zindagi me kisi bhe insan ko itna qareeb matt karo k wo aap ko mamooli samajhny lagy.
torna nahe jorna seikhn kiyun k torny walon ke hawaliyan bhe weeran rehti hain aur jorny walon ke qabrein bhe abad rehti hain.
Waqt aap ko bata deta hai k log kiya thy aur aap kiya samjhty thy.
Kabhi kabhi insaan waqai haar jata hai. Khamosh rehty rehty, Sabar karty karty, Umedin rakhty rakhty, Rishty nibhaty huwy, Safaiyan dety dety, Aur apnon ko manaty manaty.
Is duniya me taqreeban har insaan chahta hai k us ke baat sunny wala us ko samajhny wala koi ho lekin kisi aur ke baat ko sunna koi nahe chahta.
Har aik k pas diyantdari sy baat karny k lia koi na koi hona chaia, kiyun k insaan kitna he bahadar kiyun na ho, kabhi kabhi wo bht tanha mehsoos karta hai.
Hum kuch logon sy bagair milaqat kea bhe mohabbat kar sakty hain, yehi rooh ke rooh sy kashis kehlati hai.
ہم کچھ لوگوں سے بغیر ملاقات کیئے بھی محبت کرسکتے ہیں، یہی روح کی روح سے کشش کہلاتی ہے۔
Hum poori zindagi is intizar me nikal dety hain k aik din hum apni mann'pasand zindagi jiyn gy lekin ye bhool jaty hain k zindagi wahi ha jo aaj hai,,, kal to bas aik khuwab hai, jis ke koi tabeer nahi.
Urdu Quotes
Mohabbat hamisha kashish dhoondti hai, aur kashish sirf Wajood-o-Jism mein he hoti ha, baqi Mohabbat ko deikhny aur smjhny ka har kisi ka apna nazriya ha, Rooh sy Mohabbat ya ti nafsiyati marez kar sakta hai ya phir jhoota.
Agar tumhein kisi cheez k khoh jany ka andesha ho to usy kitabon me chupa do,, kiyun k, ye nasal ab kitaben nahe kholti.
Tabdeeli ka raaz ye hai k app apni tamam tarr tawanai purany sy larny par nahe balk nayi tameer par markooz karn.
Aik afreeqi kahawat hai k; aik wahid aurat jo mard ke gharebi me bhe us ka saty nahe chorti aur us sy Mohabbat karti hai,,,, wo Maa hai.!
Amu'mann wo log hamary pasindeda tareen log hoty hain jin sy kabhi hamari mulaqat nahe hoti.
Sardioun me har chez khubsoorat hoti hai siway ghareebon k kanmpny k.
Main moat aur agly jahan me jany sy nahe darti, lekin wahan is duniya walon k sath dobara milny sy darti hun.
Logon ko btaya gaya hai k wo apny khadokhal, gory rang aur lamby qad ke wajah sy khubsoorat lagty hain, halank har wo insaan khubsoorat hai jo aik hamdard rooh aur khubsoorat muskrahat ka malik hai.!
Ab main sirf un logon k sath hona pasand karun ga jo k fankaar hain aur wo log jinhon sy takleefyn jheli hui hain, wo log jinhein Khubsurti ka idraak hai ya wo log jo janty hain k dukh kiya ha, in k siwa mujhy kisi sy dilchasbi nahe.
Hum jiddat k zamany mein shiddat ke Mohabbat karny waly purani sadi k log hain, hum jaison ko smjhny k liya tumhein darya k ulty bahao ke kahani par ilhami yaqeen karna hoga.
Tawaja sakhawat ke sub sy nayab aur khalis tareen shakal hain.
Main tumhein bas faqat aik bar sath le ja kar ehram-e-misar k saye me deikhna chahti hun, main chahti hun tumhein fironi khudaon ka ikhtitam mehsoos ho.
Urdu Quotes
Main ne seikha hai k log aap ke baton ko bhool jayn gy, log bhool jayn gy k aap ne kiya kea lekin log kabhi nahe bhooln gy k aap ne unhein kesa mehsoos kraya.
Aik Arabic Quote hai k; aik waqt aisa bhe ay ga k tumhein dil ke khushi sirf logon sy kinara kush rehny mein he mily ge.
Jab aansu nikal aaty hain to in me sirf namak aur paani nahe hota, in me maazi ke takleefyn, dard, dukh, apnon k sitam, chahny walon ke by'eitbari, kabhi na loat kar aany walon ka gham, wado ke pamaliyan, aur Najane kiya kiya ehsasat aur jazbat chupy hoty hain.
Main ne kabhi kanjoos ko Mohabbat dety nahe deikha, Mohabbat to hamisha sakhi logon k hathon sy phootti hai.
Tum usi waqt nahe milty jab sb sy ziyada tumhari zaroorat hoti hai.
Hum wo udaas nasal hain jis ko maazi ke yaadon sy bandh kar mustaqbil k lia nakara bana dea gaya.
Arabic Quote hai k; fazool Umedin by'waqoof ka khazana hain.
Aurtein aati jati hain lekin zindagi kabhi bhe aap ko aik achi aurat sy do baar nahe nawazti.
Insaan jitna ziyada be'waqoof hota hai, us ki jaldi so jany ke salahiyat utni he mazboot hoti hai.
Insaan he wo wahid jandaar hai jisy diniya me itny masaib bardasht katna party hain k usy hansi ejad karna pari.
Ghurbat koi aib nahe lekin khoobi bhe nahe, hum ne kisi ko ye kehty nahe suna k Rab mujhy ghareeb kar dy.
Bahadur marr jaty hai, zaheen pagal ho jaty hain aur zindagi khush bewaqoofon sy bhari hoti hai.
Urdu Quotes
Hum chahy jo kuch bhe kahin ya likhn, us k bawajood jo batein dil me reh jati hain wo in sy kahin bari hoti hain.
Is duniya me ziyada emandaar na bano kiyun k seedhy darakhton ko hamisha katny k liya pehly chuna jata hai.
Jab tak kamyab hony ke meri bari nahe hai, main dosron ke tareef karti rahun ge.
Arabic Quote hai k; shuru sy kabhi kisi ko mat toro, kiyun k maafi sy zakham nahe bharty.
Agar hum kisi aisy shaks ko deikhty hain jo kehta hai k wo phoolon sy mohabbat karta hai lekin unhein pani dena bhool jata hai, tum hum phoolon k lia uski Mohabbat par yaqeen nahe karn gy, Mohabbat wo mosar deikh bhaal hai jo hum karty hain to usy barhaty aur zinda rakhty hain, agar qadar aur dilchasbi na ho to Mohabbat nahe hoti.
Fitrat asan thi magar insan ny binawat aur munafiqat k sath rehny ko tarjeh de is liya aaj insan jee kar nahe thak kar mar jata hai.
Gehri choot mein badd'taren aziyat ye hai k mazi ke kotahiyan bht yaad aati hain.
Kainat khubsoorat ya badsoorat nahe, ye Mohabbat hai, jo kainat ko khubsoorat banata hai, warna mutanaffar log to pholon ko bhe masal dety hain.
Har aik k pass diyantdari sy bat karny k liya koi na koi hona chaia, kiyun k insan kitna he bahadur kiyun na ho, kabhi kabhi wo bht tamha mehsoos karta hai.
Is duniya me taqreeban har insaan chahta hai k us ke baat sunny wala us ko samajhny wala koi ho lekin kisi aur ke baat ko sunna koi nahe chahta.
Badd'taren khasara ye hai k ap kisi shaks par aik arsa tak Mohabbat piyar aur khaloos k jazbat nichavar karty rahn aur akhir me wo shaks sabit kar dy k wo in jazbat k qabil nahe tha. Apny qeemti Maah o Saal khoo dena sub sy bara khasara hai.
Kisi k sabar ko itna mat azmao k wo sabar khatam karny k baad sub kuch khatam kar dy.
----- Thanks for Reading -----
Be it the famous poems of Allama Iqbal, the heart touching poems of Mirza Ghalib, or the philosophical poems of Faiz Ahmad Faiz, Urdu quotes have the power to evoke emotions, stir souls and leave a lasting impression on the mind. With their poetic language, Urdu quotes encapsulate the complexities of life and offer insights into human nature, relationships and spirituality. Whether you're looking for inspiration, comfort or guidance, Urdu quotes have something for everyone, and their timeless appeal ensures that they will continue to inspire generations to come.