Rumi Quotes in Urdu
Rumi Quotes in Urdu is famous for his exploration of love, spirituality and truth. Here you can read, share and copy paste more than 60 most famous quotes of Maulana Rumi.
Rumi Quotes
Jo Khubsurti tum mujh mein deikhty ho wo darasal tumhara he aks hai.
Darweishon k ilawa duniya k baqi log bachon ke manid hain, jo duniya k khail mein magan hain.
Peer k dil pr naqsh khudawandi hota ha aur mureed k dil pr peer ka naqsh ubahrta ha.
Judai ka aik lamha bhe aashiq k nazdek aik saal k barabar ha.
Toota huwa dil Khuda ke Tawaja khainchta ha, Khushnaseeb ha wo rooh jo Khuda k liya roti ha.
Har ugny wali cheez ye batati hai, k insan jo baijta hai wohe kat'ta ha, Ay mery dost agar tum smjhdar ho, to Mohabbat k siva kuch na baijo.
Pursakoon wo hai, jis ko km ya zyada ke fikr nahe.
Agr tumhein zindagi ke haqeeqat maloom ho jaye to beshak tum koi aur sathi na chono gy siwaye, ALLAH aur uski Mohabbat k.
Ishq wafadar hai aur wafadar he ka kharidar ha.
Ishq aya to aqal bechari bekar hogaye, Sooraj nikla to shama ke koi haqeeqat na rahe.
Allah Pak jab kisi bandy sy naraz hota hai to usy pakiza logon ke aib johi me mahghool kr deta ha.
Agr tumhein sb rasty bnd nazar ayen to wo tumhein aisa posheda rasta dikha dy ga, jis k bary mein koi janta nahe hoga.
Maulana Rumi Quotes
Aiyny ko haqeeqat na samjho, Tumhari asal tasweer tumhary dil mein ha.
Jahil , Ahmaq , aur bad'kirdar sy achy mashvary ke tawaqa hargiz na rakho.
Allah k waliyun ko Rab ke taraf sy taqat hasil ha k wo kaman sy nikly huwy ter ko bhe wapis kr dety hain.
Mohabbat na parhi jati ha na parhai jati ha Mohabbat bas aik naimat ke tarah hasil hoti ha.
Agar mera ilm mujhy insaniyat sy Mohabbat krna nahe sikhata to aik jahil muj sy hazar darja behtr ha.
Judai un k liya ha jo ankhon sy piyar krty hain, Dil sy Mohabbat krny walon k liya judai koi mehni nahe rakhti.
Rumi Quotes in Urdu |
Allah walon ke batein Sukoon-e-Qalb atta krti hain aur Ehl-e-Zahir ke batein dil mein intishar aur be'itmynani paida krti hain.
Safar sy nikalty waqt un logon sy mashwra na lein jo kabhi ghar sy bahir nahe gaye hain.
Agr tumhary pas bht ziyada hai to apni dolat mein sy do aur agar km ha to apny dil mein sy do.
Har us awaz ko suno,, Jis sy tumhari Rooh khush ho.
Aansu wo khoon hai, Jisy gham ne pani dea.
Thori dair qabristan ja aur bolny walon ko khamosh deikh.
Molana Rumi Quotes
Teri darhi tery baad paida hui mgr safaid ho gaye aur tu abhi tk waisy ka waisa kaala ha.
Agr tum azmat ke bulandiyon ko chona chahty ho to apny dil mein Insaniyat k liya nafrat ke bajaye Mohabbat abad kro.
حضور اکرم صلی اللہ علیہ والہ وسلم کی محبت میں اگر جان بھی چلی جائے تو یہ گھاٹے کا سودا نہیں۔
Main ne Shams sy pocha k tasawwuf kiya ha, Us ne kaha, Dil mein khushi mehsoos krna jab dukh zahir ho.
Hasad insaan ko is tarah kha jata hai jis tarah dimak lakri ko kha jati ha.
جس شخص نے زندگی میں سرکار دو عالم صلی اللہ علیہ والہ وسلم سے عشق نہیں کیا اس شخص نے خود کو زندہ ہی جہنم میں ڈال دیا۔
Peer-e-Kamil Allah pak ka saya hota hai goya Murshid ka deedar Allah ka deedar ha.
Apny dil pr lagy zakhmo ko nazar andaz matt kro, balk in ko mehsoos karo,, kiyun'k yehi to wo jagah hai jahan sy roshni tumhary andar dakhil hoti hai.
Mot ka zaiqa sab ne chakhna ha, magr zindagi ka zaiqa kisi kisi ko naseeb hota hai.
Tum khazany ko duniya me talash kar rahy ho jabk asal khzana tum khud ho.
Jis shaks ne apny raaz ko apny tak mehdood rkha wo jald kamyabi ke manzil tk ponchy ga.
Quran ka tarhuma he agr Quran ke haqeeqat hoti to Rumi ko Tabraiz ke zaroorat na hoti.
Maulana Rumi Quotes in Urdu
Kal main hoshiyar tha, Duniya bdlna chahta tha aaj main smjhdar hu, Khud ko bdal raha hu.
Hazrat Maulana Jalal ud Din Rumi sy kisi ne pocha, Duniya kiya ha? Frmaya, Har wo cheez duniya hai jo tumhein ALLAH sy ghafil kardy.
Ghoor-o-Fikr kro aur khud ko mukamal bnany ke koshish kro, taky dosron ka kamal tumhein ghamgeen na kary.
Khamosh raho, Sirf Khuda he tumhary dil ka bojh hlka kr skta ha.
Sachai k bht sy rasty hai lekin main ne jo rasta chuna wo Mohabbat ka ha.
Rooh ke khair khuwahi ke aik aala tareen qisam ye ha k apny sath tanha rehna he apki haqeqi khusji ha, Jo apny aap sy qareeb nahe hota wo kisi aur cheez sy qareeb nahe hota.
Mohabbat k bagair har moseqi shoor ha, hr Raqs pagal'pan ha aur hr ibadat bojh ha.
Tumhari pareshaniyan , tumhari by'adbi aur nashukri sy juri hui hain.
Kutta chahye kitna he tarbiyat yafta hojaye mgr uski gardan sy zanjeer alag na karo.
Ahmaq ke dosti aur uski Mohabbat sy deen aur duniya dono he ka khoon hota ha.
Neki aur badi k tasawur sy nikal kr agly muqam tk aa jao, ma tumhein wahi milo ga.
Main ne Khuda sy kha; Main tumhein janney sy pehly nahe mrna chahta, Khuda ny jawab dia, Jo mujhy jaan gaya wo kabhi nahe mrta.
Zindagi aisy geo, jesy sab kuch tumhary haq mein ho.
Baazuqaat rasta saaf nazar ata ha lekin us k neechy jaal hota ha.
Molana Rumi Quotes in Urdu
Duniya agr hath sy nikal jaye to bnda ghareeb hojata ha aur yahi duniya agr dil sy nikal jaye to bnda wali hojata ha.
Adha wehm pory wehm me mubtila kr deta ha.
Tum is duniya me rehty nahe ho, balk tum yahan se guzr rahy ho.
Apny ap ko chota na smjho tum by'khudi k aalam me khud aik kainat ho.
Apny dil ko tab tk tootny do jb tk ye khul nahe jata.
Gham na kro khoi hui cheez kisi dosri soorat me wapis mil jati ha.
Naik logon ke qurbat sy hamisha faida hota ha.
Akely rehna buri sohbat mein rehny sy behter ha.
Jahan pani girta ha wahan sabza ugta ha jahan aansu girty hain wahan Rehmat utarti ha.
Shak aur khoof dil ke duniya ko do hison mein taqseem kr dety hain.
Rumi Quotes in Urdu |
Jb tk dil tooty ga nahe dil mein roshni kesy dakhil hogi.
Rumi, a 13th-century Persian poet and mystic, is widely regarded as one of history's greatest spiritual teachers. His poetry and quotes continue to inspire and influence people across the world, including the Urdu-speaking communities.
Rumi's quotes in Urdu still resonate with readers today, offering insight into the human condition and the power of love and spirituality.
Yo also like :-
My Instagram account Zube