Parveen Shakir Poetry
Parvin Shakir poetry is known for its sentimental and sentimental nature. His verses often touch on universal human experiences such as love, heartbreak, and the struggles of everyday life.
Here you can read and share the 50+ images of Urdu poetry by Parveen's Shakir. Share your favorite Shayari on the web, Facebook, Twitter, Instagram, and blogs.
Parveen Shakir Romantic Poetry
Bana rahi ha teri yaad mujh ko silk-e-kohr
Paro gaye meri palkon me aaj shabnam phir.
Faseel-e-Shehr tamana ke zard bailon par
Tera jamal kabhi soorat sohab utry.
Khushbu kahin na jaye ye israr ha bht
Aur ye bhe Aarzoo k zara zulf kholea.
Fizaa me tair rahi hun, sada k rang mein hun
Lahu sy poch rahi hun, ye kis tarang mein hun.
Kiya kiya na khuwab hijr k mosam mein kho gaye
Hum jagty rahy thy magr bakht so gaye.
Piyas sehraon ke phir teez hui
Abar phir toot k barsa, logo.
Wo naram lehjy mein kuch to kahy k loat aaye
Samato ke zameen par phuwar ka mosam.
Aarz-e-Gul ko choa tha k dhanak c bikhri
Kis qadar shookh hai nanhi c kiran ke Khushbu.
Mery badan k rawan rawan ras mein bheegy
Raat nashy mein aur hawa bhoopali gaaye.
Phir chandni k daam mein aany ko thy ghulab
Sadd shukar neend khone sy pehly sanmbhal gaye.
Parveen Shakir Best Poetry
Wo ab meri zaroorat bann gaya hai
Kahan mumkin raha, us sy na bolun.
Is khoof sy wo sath nibhane k haq mein hai
Khoo kar mujhy, ye larki kahin dukh sy marr na jaye.
Koi mosam ho magar Shaan-e-Kham o paich wahi
Raat ke tarah koi zulf sanwary nikly.
Supard kar k usy chandni k hayhon mein
Main apny ghar k andheron ko loat aaon ge.
Tujh sy to koi gilla nahe hai
Qismat me meri, silla nahe hai.
Ishq to khair tha andha larka
Husn ko kon c majboori thi.
Qatil ko koi qatal k adaam sikhaye
Dastar k hoty huwy sar kaat raha hai.
Umer bhar thamy rahy Khushbu ko
Phool ka hath magar shell ho jaye.
Choony sy qabal rang k paikar pighal gaye
Muthi mein aa na paye k jugno nikal gaye.
Sabz mosam ke khabar le k hawa aai ho
Kaam, pat'jharr k aseeron ke dua aai ho.
Marr bhe jaon to kahan log bhalai dein gy
Lafz mery marry hony ke gawahi dein gy.
Sehra k safar mein kab hun
Tanha hamra surab chal raha hai.
Tark-e-Ulfat k baad umeed-e-wafa
Rait par chal saki hai nao kabhi.
Jo sirf rooh tha, furqat me bhe, visaal me bhe
Usy badan k asar sy raha to hona tha.
Is Shehr-e-Khush jamal ko kis ke lagi hai aah
Kis dil zada ka girya khonnab ly gaya.
Parveen Shakir Poetry in Urdu
Aks-e-Khushbu hun, bikharny sy na roky koi
Aur bikhar jaon to mujh ko na samaity koi.
Harf kiyun apny ginwaen ja kar
Baat sy pehly jahan baat katy.
Kis shaks ka dil main ne dohaya tha, k ab tak
Wo meri duaon ka asar kaat raha hai.
Mujh ko tasleem, mery chand k main
Tery humrah hun gehn ke tarah.
Raat ke khamoshi to phir bhe mehrban nikli
Kitna jaan leva hai dopher k sanata.
Ya Rab! Mery sakoot ko nagma sarae dy
Zakhm-e-Hunar ko hosla lab koshai dy.
Kanmp uthti hun yehi soch k tanhai mein
Mery chehry py tera naam na parh ly koi.
Titli k labon aur gulabon k badan mein
Rehta hai sada choty sy aik raaz ka rishta.
Satah m deikh k andazy lagyn
Aankh jati nahe gehrai par.
Parveen Shakir Sad Poetry
Wo to Khushbu hai, hawaon me bikhar jaye ga
Masla phool ka ha, phool kidhar jaye ga.
Main sochti thi, tera qurb kuch sukoon dy ga
Udasiyan hain k kuch aur barh gayen mil kar.
Har rang mein wo shaks nazar ko bhalla lagy
Hadd ye, k roth jana bhe us shokh par khuly.
Dihan mein us k ye aalam tha kabhi
Aankh mehtab ke, yaadein uski.
Chand us k nagar me kiya ruka hai
Taary bhe tamam udhar he thehry.
Poora dukh aur aadha chand!
Hijr ke shab aur aisa chand?
Hijr, sanata, pichly peher ka chand
Khud sy milny k kuch waseely hain.
Choo k guzri thi zara jism ko barish ke hawa
Aanch deny lagy malboos jawan raaton k.
Jangal sy darra huwa parinda
Shehron k qareeb reh raha hai.
Parveen Shakir Ghazals
Parveen Shakir's ghazals are known for their ability to capture the complexities of human emotions in a few short lines. His lyrics often revolve around themes of love, heartbreak and complexities of relationships. Shakir's ghazals also featured a strong feminist voice, as they often explored issues related to gender inequality and the struggles faced by women in a patriarchal society.
Parveen Shakir Best Ghazal
قدموں میں بھی تھکان تھی گھر بھی قریب تھا
پر کیا کریں کہ اب کے سفر ہی عجیب تھا۔
Qadmon mein bhe thakan thi ghar bhe qareeb tha
Par kiya karyn k ab k safar he ajeeb tha.
دل کا کیا ہے وہ تو چاہے گا مسلسل ملنا
وہ ستم گر بھی مگر سوچے کسی پل ملنا۔
Dil ka kiya hai wo to chahy ga musalsal milna
Wo sitamgar bhe magr sochy kisi pal milna.
چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا محال کر دیا
عشق کے اس سفر نے تو مجھ کو نڈھال کر دیا۔
Chalny ka hosla nahe rukna muhal kar dea
Ishq k is safar ne to mujh ko nidhhal kar dea.
گئے موسم میں جو کھلتے تھے گلابوں کی طرح
دل پہ اتریں گے وہی خواب عذابوں کی طرح۔
Gaye mosam mein jo khilty thy ghulabon ke tarah
Dil py utryn gy wahi khuwab azabon ke tarah.
ٹوٹی ہے میری نیند مگر تم کو اس سے کیا
بجتے رہیں ہواؤں سے در تم کو اس سے کیا۔
Tooti hai meri neend magr tum ko is sy kia
Bajty rahn hawaon sy darr tum ko is sy kiya.
اپنی ہی صدا سنوں کہاں تک
جنگل کی ہوا رہوں کب تک۔
Apni he sadda suno kahan tak
Jungle ke hawa rahun kab tak.
اب بھلا چھوڑ کے گھر کیا کرتے
شام کے وقت سفر کیا کرتے۔
Ab bhall choor k ghar kiya karty
Shaam k waqt safar kiya karty.
دھوپ سات رنگوں میں پھیلتی ہے آنکھوں پر
برف جب پگھلتی ہے اس کی نرم پلکوں پر۔
Dhoop saat rangon me phailti hai aankhon par
Barf jab piggalti hai uski narm aankhon par.
کو بہ کو پھیل گئی بات شناسائی کی
اس نے خوشبو کی طرح میری پزیرائی کی۔
Ku ba ku phail gaye baat shanasai ke
Us ne Khushbu ke tarah meri pazerai ke.
عکس خوشبو ہوں بکھرنے سے نہ روکے کوئی
اور بکھر جاؤں تو مجھ کو نہ سمیٹے کوئی۔
Aks-e-khushbu hun bikharne sy na roky koi
Aur bikhar jaon to mujh ko na samaity koi.
پورا دکھ اور آدھا چاند
ہجر کی شب اور ایسا چاند۔
Poora dukh aur aadha chand
Hijer ke shab aur aisa chand.
About Parveen Shakir
Parveen Shakir was a famous Urdu poet known for her bold, feminine approach to poetry. Her work touched on themes of love, loss and the complexities of womanhood. Shakir's poetry was characterized by his unique use of language, which combined traditional Urdu literary conventions with the contemporary, colloquial.
How Old was Parveen Shakir Died?
Her ability to convey raw emotion in a straightforward manner struck a chord with readers, especially young women, and her work continues to resonate with audiences today. Despite his untimely death at the age of 42, Shakir's contribution to Urdu poetry has made him an icon in the literary world.