Eid Poetry in Urdu |
Eid Poetry in Urdu
Eid poetry in Urdu is the best way to share joy and happiness with everyone. Here you can read and share 60+ best poetry for Eid and Eid greetings.
As the holy month of Ramadan draws to a close, Muslims around the world look forward to the joyous occasion of Eid al-Fitr. This day marks the end of fasting and the beginning of celebration with family and friends.
So, let us celebrate this joyous occasion by reciting heartfelt poems and sending wishes of love and peace to our loved ones. May Allah bless us all with health, happiness and prosperity on this special day of Eid al-Fitr. Happy Eid to all!
Junhe deikha hum ny eid ka chaand
Aankh nam kar gaya bichrey huwy logon ka khiyal.
Eid milny zaroor aon ga
Waada kar k mukar gaya koi.
Udhar sy chand tum deikho
Idhar sy chand hum deikhen
Nighayn yun tkrayn k
Do dilon ke eid ho jay.
Ghairon mein hai jo shaad usy Eid Mubarak
Hum jis ko nahe yaad usy Eid Mubarak.
Us ne kaha Eid manao gy?
Main ne kaha kiya tum ao gy?
Eid ka chand falak par nazar aya jis dam
Meri palkon py sitary thy teri yadon k.
Eid Card
Phool sy khushbu lekar
Chand sy roshni lekar
Shehd sy mithas lekar
Dil sy dua dekar
Huk aap ko Eid Mubarak kehty hain.
Ic Eid par bhe na mil saky to kiya huwa dosto
Jazbon mein khalos ho to eiden hazar hain.
Khuda kary tumhein ye Eid raas aa jay
Tuk jis ko chaho, wo tumhary pas aa jay.
Khushiyan hazar lati hai Eid
Momin ky liya tohfa hai Eid
Bachon k liya eidi hai Eid
ALLAH ke atta aur inam hai Eid
Har aik ko Mubarak ho ye piyari c Eid.
Eid Mubarak Poetry in Urdu
On this day of Eid, let us pray to Allah for His blessings and guidance. Let us forgive each other's mistakes and strengthen the bonds of brotherhood and sisterhood.
Ye eid k din jab aaty hain
Apnon ke yaad dilaty hain
Jo hum sy juda ho jaty hain
Jo mati mein so jaty hain.
Ay Chand
Jab wo teri taraf deikhn
To unhein kuch yaad dilana
Madhar sy kuch geet sunana
Aur kena..!
Tumhein koi yaad karta hai
Teri Aarzoo, Teri Umeed karta hai
Koi aaj bhe
Tumhein deikh kar eid karta hai.
Jin piyaron sy Eid par mulaqat mumkin nahe
Un ko socha aur un k haq mein dua kardi.
Kabhi Eid manaya karty thy
Ab Eid guzara karty hain.
Best Urdu Poetry Website
Qasid Diyar-e-Yar sy lay ho kuch khabar?
Eid ko dehlez par hai, wo ay kiyun nahe?
Tumhary bagair Eid guzry gi
Had hai wesy judai ke.
Ye kesi eiden hain,, Udaas kar jati hain
Apnon sy milny ke paida aik aas kar jati hain.
Kal eid ka din bhe humein bht rulay ga
Kuch bichrey huwy logon ke phir sy yaad dilay ga.
Keh dea Eid Mubarak us ny
Hogai Eid Mubarak meri.
Tujhy deikhy bina kesi Eid piya..?
Eid Poetry in Urdu for friends
Ay Eid ic baar jo aana
Har chehry par hansi lana
Har angan mein phool khilana
Jo royae hain unhein hansana
Jo rothy hain unhein manana
Jo bichrey hain unhein milana
Piyari Eid tum jab bhe aana
Sub k leya khushiyan lana.
Ay eid kuch dair k leya taweel hoja
Aik shaks abhi tak mujhy milny nahe aya.
Na hath dea, na galy mily, na muyassar tumhari deed hui
Ab tum he btao ye qayyamat hui k Eid hui.
Eid pheeki lag rahi hai ishq ke taseer bhaij
Aa galy mil, ya libas-e-eid mein tasweer bhaij.
Bas kuch tasveeryn banana hoti hai
Sanwar k Eid aaj kal kon manata hai.
Jo log guzarty hain musalsal Raah-e-Dil sy
Din Eid ka Mubarak ho un ko tah-e-dil sy.
Masroof hai Khalq-e-Khuda Eid ke tiyarion mein
Aur ma is fikar me hun k sub sy hans kar milna hoga.
Har eid par ho jaty ho naraz
Main eid manao k yaar manao.
In he sochon mein guzar jati hain eiden meri
Kiya mujhy bhool k wo eid manata hoga.
Rasm-e-Duniya hai nibha lety haim
Eid aati hai mana lety hain.
Eid Poetry in Urdu Sad
Na tum aye, na tum ko aana tha
Eid soo kar guzaar de hum ny.
Do ghari teri deed ho jaye
Apni bhe Eid veed ho jaye.
Jo aaj khush hain unhein aisi lakhon eiden milyn
Jo aaj udaas hain un ke phir kabhi aisi Eid na ho.
Halank bht khas hoti hain
Mgr Eiden udaas hoti hain.
Suno ab ke baar eid par
Talab tohfon ke nahe tumhari hai.
Har aik dard ke shiddat chupaye jaye ge
Eid to phir Eid hai aakhir manaye jaye ge.
Jin sy ab rabty mumkin nahe
Unhein duaon mein Eid Mubarak.
Saniha hai k Eid py aksar
Jin ko milna ho wo nahe milty.
Jin rahon sy tum guzro
Un rahon ko bhe Eid Mubarak.
Har Eid pichli Eid ke tarah nahe hoti
Kuch wo khushiyan nahe hotyn, Kuch apny nahe rehty
Aur kuch wo Rishty nahe rehty jin sy
Hamari khushiyan wabasta thein.
Best Eid Poetry in Urdu
Eid ka Chand tum ne deikh lea
Chand ke Eid ho gaye hoge.
Kis mou sy Eid manay ga
Jis Shaks ne chein lein khushiyan meri.
Eid rukhsat, Naseeb naqis
Intizar zaya, Umeed khatam.
Jin k bagair sham tak na guzarti thi
Un k bagair aaj Eid bhe guzar gaye.
Tum sy rabta hota to tumhein Eid Mubarak kehti
Tumhary bagair meri Eid, Eid nahe thi.
Tujhe sochna meri chand raat
Tujhe deikhna meri Eid hai.
Log kehty hain Eid ai hai
Tum aa jao to yaqeen aa jay.
Khushiyon k aik naye agaz ke amad
Sub ko meri taraf sy Eid Mubarak.
Tasveer tumhari deikh kar
Main ny din guzara Eid ka.
Mehndi, Choori, Gajra, Kangna kiya karna
Sajj kar tum bin Eid py Sajna kiya karna.
Eid Poetry Copy Paste
Eid Ramadan ka Tohfa hai
Tum apni "Maturity" aur "Zero Excitement" apny pas rakho.
Mubarken to sab dety hain
Koi eidi dy to bat bany.
Deedar tera jin ko muyassar hai
Un khush bakhton ko Eid Mubarak.
Ay Eid kuch dair k lea aur taveel hoja
Aik shaks mujhy abhi tak milny nahe aya.
Jin k milny ka asra he nahe
Eid un ka khaya lati hai.
Eid ka Chand falak par nazar aya jis dam
Meeri palkon par sitary thy teri yaadon ky.
Khush ho gaya ye dil-e-na-umeed aaj
Khabar hogaye k Eid ha aaj.
Eid Poetry Love
Har baar ke tarah na jany kiyun
Is Eid bhe tujhy he deikhny ke khuwaish hai.
Mubarkein to sub dety hain
Koe eidi de to bat bane.
Waadon he py har roz meri jan na talo
Hai Eid ka din ab to galy hum ko lagalo.
Tujh ko meri na mujhy teri khabar jaye ge
Eid ab k bhe daby paon guzar jaye ge.
Bin deikhy usy Ya Rab ye Eid na guzry
Kar paida koi sabab ye Eid na guzry
Duniya ko dikhaya hai aik chand jo tu ny
Mujh ko bhe dikha dy ab ye Eid na guzry.
Dhalti Eid k sath khatayen maaf kar dena
Kiya pata jab phir Eid aye, hum na hon ya Tum na ho.
Roothny waly agar ijazat ho
Eid k din milny aa jaon.
Usy kehna k loat ao, suna hai Eid i hai
Aik baar to aakar mil jao, suna hai Eid i hai
Usy kehna k bin tery bahut eiden guzari hain
Is baar to milny aa jao, suna hai Eid i hai
Usy kehna judai sy Mohabbat kam nahe hoti!
Ye duniya ko batla jao, suna hai Eid i hai
Usy kehna k chahat ka bharam na tootny dena!
Tum pal do pal he aa jao, suna hai Eid i hai
Usy kehna k tanha hain Eid k din bhe,
Ye Tanhai mitta jao, Suna hai Eid i Hai.
Ay Eid tumhein kiya bataon?
Main ny aisy log khoye hain jo
Meri Eid huwa karty thy.
New Eid Mubarak Images
اس نے کہنا تھا فقط عید مبارک
اور میری عید نے تہوار میں ڈھل جانا تھا۔
تلخیاں بڑھ گئیں جب زیست کے پیمانے میں
گھول کر درد کے ماروں نے پیا عید کا چاند۔
تمام عمر تجھے زندگی کا پیار ملے
خدا کرے کہ خوشی تم کو بار بار ملے۔
Tamaam umar tujhy zindagi ka piyar mile
Khuda kry k khushi tum ko baar baar mile.
یہ جو اتنا خلوص لائے ہو
اب میں اس کا اچار ڈالوں کیا؟؟
ٹھیک ہے عید ہے۔ مگر بھائی؛
اب اداسی کو مار ڈالوں کیا؟
Best Eid Wishes, Greetings
- May this auspicious occasion bring peace, happiness and prosperity in your life. As we celebrate this special day, let us remember the true spirit of Eid and spread love and compassion to those around us.
- May these happy Eid wishes fill your hearts with joy and bring a smile to your face.
- May the light of Eid fill your home with love and happiness, and bless your life with happiness and prosperity.
- May this Eid bring you happiness, joy and peace that lasts throughout the year. Eid Mubarak!
- May Allah bless you with good health, happiness and success on this holy occasion. Eid Mubarak!
- May this Eid be a new beginning for you, a new chapter in your life filled with peace, happiness and prosperity. Eid Mubarak!
- On this special occasion, may Allah fulfill all your wishes and fill your life with love, happiness and success. Eid Mubarak!
- I pray that Allah Ta'ala accepts all your acts of worship during Ramadan and blesses you with His infinite blessings. Eid Mubarak!
- Let us celebrate this Eid with a heart full of gratitude and a mind full of positivity. May Allah help us all to walk on the right path. Eid Mubarak!
- Let's celebrate this Eid by spreading love, kindness and compassion to those around us. May Allah bless us all with His blessings. Eid Mubarak!