Ahmad Faraz Poetry
Ahmad Faraz poetry was characterized by his powerful use of language and his ability to convey complex emotions through simple and direct verses. He often wrote about love, politics and the struggles of ordinary people. His most famous compositions include "Tanha Tanha," "Suna hai Log," and "Ranjesh Hi Sahi."
Ahmad Faraz Best Poetry
If you are looking for Faraz's poetry and ghazals then you have reached the right place. Here you can read 70+ best poetry and ghazals of Ahmad Faraz.
Ahmad Faraz Poetry |
Ye jo sargashta sy phirty hain kitabon waly
In sy mat mil k inhen rog hain khuwabon waly.
Wo hawas ho ya wafa ho baat mehromi ke ha
Log to phal phool deikhn gy shajar deikhy ga kon.
Tu pas bhe ho to dil beqarar apna ha
K hum ko tera nahe intizaar apna ha.
Zabt lazim ha magar dukh ha qayyamat ka Faraz
Zalim ab k bhe na roye ga to marr jay ga.
Faraz aseer ha is ka k wo faraz ka ka ha
Ha kon kis ka giraftar? Chal k deikhty hain.
Lab o dehn bhe mila guftugu ka fun bhe mila
Magr jo dil py guzarti ha keh saku bhe nahe.
Teri basti me tera nam pata kiya pocha
Log hayran-o-Pareshan hamy takty javen.
Apny siwa hmary na hony ka gham kisy
Apni talash me to hum he hum hn dosto.
Ab tera zikr bhe shyd he ghazal me aaye
Aur sy aur huwy dard k unwan jana.
Chup chap apni aag me jalty raho Faraz
Duniya to Arz-e-Hal sy by'abroo kary.
Ahmad Faraz Poetry 2 lines
Ghalt ha jo suna, par azma kar
Tujhy ay be-wafa deikha na jaye.
Kat mary apny qabely ke hifazat k leya
Maqtil-e-Shehr mein thehry rahy junmbish nahe ke.
Mohabbaton me to milna ha ya ujar jana
Mizaj-e-Ishq me kab ehtedal rakha ha.
Har aik sy kon Mohabbat nibha sakta ha
So huk ne dosti yari to ke, wafa nahe ke.
Pehly sy mirasim na sahe phir bhe kabhi to
Rasm-o-Duniya he nibhany k lea aa.
Soorat thi k hum jesy sanam saz bhe gum thy
Moorat yhi k hum jesy pujari nahe bholy.
Meer k manind aksar zeest karta tha Faraz
Tha to wo deewan sa sahyar magr acha laga.
Hun sazawar saza kiyun jab muqadar me mery
Jo bhe is jan-e-jahan ne likh dea ma ne kia.
Hum aisy sada dilon ko wo dost ho k khuda
Sabhi ne wada farda py taal rakha hai.
Gaye dino me Mohabbat mizaj us ka tha
Magr kuch aur he andaz aaj uska tha.
Bazahir aik he sahb ha firaq-e-yaar magr
Koi guzarne baithy to umer sari lagy.
Jis qadar us sy taaluq tha chala jata tha
Us ka kia ranj k jis ke kabhi khuwaish nahe ke.
Mehfil-e-Jana ho, maqtil ho k mekhana Faraz
Jis jaga jayen bana lety hain hum apni jaga.
Ahmad Faraz Poetry in Urdu
Itny sukoon k din kabhi deikhy na thy Faraz
Asodgi ne mujh ko pareshan kar dea.
Hum by'rah rawon ka kiya
Sath kisi k ho lein gy.
Watan sy dur bhe azadiyan naseeb kisy
Qadam kahin bhe ho zanjeer ghar ke deikhty hain.
Shehr walon ko kahan yaad ha wo khuwab-e-firosh
Phirta rehta tha jo galiyon me ghubary ly kar.
Ye andhiyan hain to Shehr-e-Wafa ke khair nahe
Zamana khak fishan ha qareeb aa jao.
Ajeeb rut the k har chnd pas tha wo bhe
Bht malol tha main bhe, udaas tha wo bhe.
Us ko wada faramosh kiyun kahen ay dil
Raha ha Sahib-e-Kirdar ab kahan tu bhe.
Adab-e-Khatabat ka kiya zikr yahan to
Rindon ko behkny ke ada tak nahe aai.
Na aashnaye lutf tasadum ko kea khabar
Ma ne hawa ke zad py rakha jan kar dea.
Faraz us ne wafa ke be wafai ke
Jawabdeh to humen hain sawal jo bhe ho.
Sakot-e-Sham khizan ha qareeb aa jao
Bara udas sama ha qareeb aa jao.
Abhi to jaag rahy hain chiragh rahon k
Abhi ha dur sehr, thori dur sath chalo.
Ghar to kiya ghar ke shabahat bhe nahe ha baqi
Aisy veeran huwy hain Dar-o-Dewar k bas.
Ahmad Faraz Urdu Poetry
Jo yujh sy piyar kary teri lagzishon k sabab
Faraz aisa guneghar ab kahan tu bhe.
Ye qurb kiya hai k yak'jan huwy na dur rahy
Hazar aik he qalib me dhal k deikhty hain.
Tu apni sheesha-giri ka hunar na kar zaya
Main ayena hun mujhy tootny ke adat ha.
Dareeda pairheno ka khiyal kiya aata
Ameer-e-Shehr ke apni zarooratein thi bht.
Yun dil laraz utha ha kisi ko pukar kar
Meri sada bhe jesy meri sada na thi.
Wo khar khar hai Shakh-e-Ghulab ke manind
Ma zakhm zakhm hu phir bhe gale laga lagaon usy.
Kiya khabar thi ay Nigar-e-Sher tery ishq mein
Dilbaran-e-Shehr k dildar bn jayen gy hum.
Main to maqtil me bhe qismat ka sikandar nikla
Qurah-e-Fal mery nam ka aksar nikla.
Shuyar apna he jis ka bahana sazi tha
Wo mery jhoot sy khush tha na such py razi tha.
Ahmad Faraz Famous Poetry in Urdu
Apsra thi na hoor thi na pari
Dilbari mein magr ziyada thi.
Jis simt bhe deikhun nazar aata ha k tum ho
Ay Jan-e-Jahan ye koi tum sa ha k tum ho.
Us be wafa sy hum ny shikayat na ke Faraz
Adat ko us ki wada khilafi nahe kaha.
Chaak dil see k na see zakhm ke toheen na kar
Aisy qatil to na thy mery masihon mein.
Har aik Sahib-e-Manzil ko ba'murad na jan
Har aik rah nasheen ko shakista paa na smjh.
Aik dard ka phaila huwa sehra hai k main hun
Aik moaj me aya huwa darya ha k tum ho.
Mily to toot k roye, na khul k baten ke
K jesy ab k dilon me qudortein thin bht.
Hum apny tayen lakh zy'khud rifta hun lekin
Yun hai k koi baat tumhari nahe bhooly.
Wo apny zehm me tha, by khabar raha mujh sy
Usy guman bhe nahe main nahe raha us mein.
Shouq andeshon sy pagal huwa jata ha Faraz
Kash ye khana kharabi mujhy beydar kar dy.
Chali hai Shehr me kesi hawa udaasi ke
Sabhi ne oarh rakhi ha rida e udaasi.
Ahmad Faraz Best Ghazals
خاموش ہو کیوں داد جفا کیوں نہیں دیتے
بسمل ہو تو قاتل کو دعا کیوں نہیں دیتے
ایسا ہے کہ سب خواب مسلسل نہیں ہوتے
جو آج تو ہوتے ہیں مگر کل نہیں ہوتے
اب کے ہم بچھڑے تو شاید کبھی خوابوں میں ملیں
جس طرح سوکھے ہوئے پھول کتابوں میں ملیں
تیرے چرچے ہیں جفا سے تیری
لوگ مر جائیں بلا سے تیری
تجھ سے ملنے کو کبھی ہم جو مچل جاتے ہیں
تو خیالوں میں بہت دور نکل جاتے ہیں
تیری باتیں ہی سنانے آئے
دوست بھی دل دکھانے آئے
اس کو جدا ہوئے بھی زمانہ بہت ہوا
اب کیا کہیں یہ قصہ پرانا بہت ہوا
Ahmad Faraz Famous Poetry - Ghazals
Suna hai log usy aankh bhar k deikthy hain |
سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں
سو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں
کب کون کسی کا ہوتا ہے
سب جھوٹے رشتے ناتے ہیں
صحرائے زندگی میں کوئی دوسرا نہ تھا
سنتے رہے ہیں آپ ہی اپنی صدائیں ہم
Ahmad Faraz Ghazal |
چشم گریاں میں وہ سیلاب تھے اے یار کہ بس
گرچہ کہتے رہے مجھ سے میرے غم خوار کہ بس
Ahmad Faraz Poetry and Ghazal |
رنجش ہی سہی دل ہی دکھانے کےلئے آ
آ پھر سے مجھے چھوڑ کے جانے کےلئے آ
About Ahmad Faraz
Ahmad Faraz was a prominent poet of Pakistan, known for his revolutionary and romantic poetry. He was born on January 14, 1931 in Kohat, British India and later moved to Peshawar. Faraz started writing poetry at an early age and became a prominent figure in the world of Urdu literature in the 1960s.
Faraz was also a respected literary critic and served as the Chairman of the Pakistan Academy of Letters. He died on 25 August 2008 in Islamabad, Pakistan and leaving behind a rich legacy of poetry and literary criticism.