Yaadein poetry in Urdu
Yaadein poetry in Urdu is like a collection of precious gems that sparkle with the memories of love and longing.
In Yaadein poetry, every word is a window into the past, where the fragrance of memories lingers on forever.
The beauty of Yaadein poetry lies in its ability to transport us to another time and place, where memories are etched in the heart forever.
Best Yaadein Shayari
Mulaqatyn nahe mumkin mujhy Ehsaas hai lekin
Tumhein dil Yaad karta hai bas itna Yaad rakhna tum.
●_________________●
Tapak padte hain aansu jb apno ki yaad aati hai
Ye wo barsaat hai jis ka koi mosam nahi hota.
●_________________●
Taluq baad mein tabdeel hokar jo bhe reh jay
Mohabbat mein wo pehla muskrana yaad rehta hai.
●_________________●
Aik dilasa hai Rooh ko warna
Kiya nikalta hai teri yaadon se.
●_________________●
Lakh kaata hai teri yaadon ko jadh se main ne
Kiya karun phir se ye shajar mujh mein nikal aata hai.
●_________________●
Teri yaad kanch k tukry
Mera ishq nange paon.
●_________________●
Kar rahi thi Gham-e-Jahan ka hisab
Aaj tum Yaad by'hisab ay.
●_________________●
Wo raatein kaif mein doobi wo teri piyar ki batein
Nikal party hain ansu jab kabhi hum yaad karty hain.
●_________________●
Purani Yaadein Urdu Poetry
In lamhon ki yaadein sanmbhal k rakhna
Hum Yaad tou ayn gy lekin loat kar nahim
●_________________●
Aik muddat sy teri yaad bhe na ai hamein
Aur hum bhool gaye hongy tijhy aisa bhe nahi.
●_________________●
Be-Sabab tou na thin teri yaadein
Teri yaadon sy kiya nahi seikha
Zabt ka hosla badha lena
Ansuon ko kahin chupa lena
Kanpti dolti sadaon ko
Chup ki chadar se dhanp rakhna
Be'sabab bhe kabhi kabhi hansna
Jab bhe ho baat koi talkhi ki
Mozu-ay quftugu badal dena
Be-Sabab tou nahi teri Yaadein
Teri Yaadon se kiya nahi seikha.
Wasi Shah Poetry
●_________________●
Bahut soch kar socha hai kinara kar liya jaye
Faqat teri Yaadon par gujara kar liya jaye.
_________________
Kahan kahan se mitao gy yaadein meri
Hum tou tujhe har moar pe yaad ayn gy.
_________________
Chay, Kitaab, Khirki, Barasti Barish
Aur teri Yaadein.
_________________
Tumhari yaad k zakhm jab bharne lagty hn
Kisi bahany tumhein yaad karny lagty hain.
_________________
Ankhon mein chubh gayen teri yaadon ki kirchiyan
Kandhon py gham ki shaal hai aur Chaand Raat hai.
_________________
Aur phir kabhi kabhi Purani Yaadein
Taza hony par damm ghutny lagta hai.
_________________
Na wo aa saky na hum kabhi ja saky
Na Dard-eDil ka haal kisi ko suna saky
Bas khamosh baithy hain unki yaadon mein
Na us ne yaad kiya na hum bhula saky.
_________________
Taluq kam karny sy Mohabbat kam nahi hoti
Log to unhein bhe yaad karty hain jo duniya choor jaty hain.
_________________
Yaadon mein teri yaad thi kiya yaad thi k kuch yaad nahi
Teri yaad mein sub bhool gaye
Kiya bhool gaye kuch yaad nahi.
_________________
Yaadein poetry in Urdu is the language of the soul, where every word is a melody that echoes through the ages.
Here you can read Death Poetry in Urdu
My Facebook page Zube