Nasir Kazmi Poetry in Urdu Famous Shayari
Nasir Kazmi is a famous poet of Urdu literature who is known for his unique style and deep expressions. His poetry captures the essence of human emotions and experiences in a simple yet captivating manner.
Aik tum he na mil saky warna
Aik tum he na mil saky warna
Milny waly bichar bichar ky mily.
_____♡_____
Duniya to sada rahy ge Nasir
Huk log hain yaad'gaar kuch dair.
_____♡_____
Nasir is diyaar mein
Kitna ajnabi hai tou.
_____♡_____
Deikh Nasir zamany mein koi kisi ka nahe
Bhool ja us k qoul-o-qasam, sabar kar sabar kar.
_____♡_____
Hum ne roti hui aankhon ko hansaya Nasir
Is sy behter to ibadat nahe hoti hum se.
_____♡_____
Muddat se koi aya na gaya sansaan padi hai ghar ki faza
In khali kamron mein Nasir ab shamma jalaon kis k lea.
_____♡_____
Kon acha hai is zamany mein
Kiyun kisi ko burra kahy koi.
_____♡_____
Mou deikhny ke batein hain sub
Kis ne kis ko yaad keya
Tery sath gai wo ronaq
Ab is sheher mein kiya rakha hai.
_____♡_____
Shehr ke by'charagh galyun mein
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi.
_____♡_____
Waqiya ye hai k badnaam huwy
Waqiya ye hai k badnaam huwy
Baat itni thi k aansu nikla.
_____♡_____
Aarzoo hai k tu yahan ay
Aur phir umer bhar na jaye kahin.
_____♡_____
Jihein hum deikh kar jeety thy Nasir
Wo log aankhon sy ujhal ho gaye.
_____♡_____
Aaj to be'sabab udaas hai jee
Ishq hota to koi baat bhe thi.
_____♡_____
Wo raat ka be'nawa musafir, wo ter shayar, wo tera Nasir
Teri gali tak to hum ne deikha, phir najany kidar gaya wo.
_____♡_____
Pukarti hain fursatein kahan gayen wo sohbaten
Zameen nigal gaye unhein k aasmaan kha gaya.
_____♡_____
Ao chup ke zuban mein Nasir
Itni batein karen k thak jayen.
_____♡_____
Kabhi kabhi jo tery qurb mein guzary thy
Ab in dinon ka tasawwur bhe mery paas nahe.
_____♡_____
Umeed pur'sish-e-gham kis sy kijia Nasir
Jo apny dil py guzarti hai koi kaya jany.
_____♡_____
Dayam abaad rahy ge duniya
Hum na hon gy koi hum sa hoga.
_____♡_____
Ab bhe tu paas nahe hai lekin
Ab bhe tu paas nahe hai lekin
Is qadar dour kahan tha pehly.
_____♡_____
Main, aur us ko bholun Nasir, kesi batein karty ho
Soorat to phir soorat hai, wo naam bhe piyara lagta hai.
_____♡_____
Ranj kuch kam to huwa aaj tery milny sy
Ye alag baat k wo baat na thi pehly c.
_____♡_____
Ye haqeeqat hai k ehbaab ko hum
Yaad he kab thy jo ab yaad nahe.
_____♡_____
Judda huwy hain bahut log aik tum bhe sahi
Ab itni baat py kiya zindagi harram karyn.
_____♡_____
Pathar bana diya mujhy roony nahe dea
Daman bhe tery gham ne bhigony nahe dea.
_____♡_____
Nah milla kar udaas logon se
Nah milla kar udaas logon se
Husn tera bikhar na jaye kahin.
_____♡_____
Yaad ai wo pehli Barish jab
Tujhy aik nazar deikha tha.
_____♡_____
Yaad k be-'nishaan' jazeeron sy
Teri awaz aa rahi hai abhi.
_____♡_____
Aarzo hai k mera qissa-e-shouq
Aaj mery siwa kahy koi.
_____♡_____
Garifta dill hain aaj tery deewany
Khuda kary koi tery siwa na pechany.
_____♡_____
Dikhaun daagh-e-mohabbat jo nagwar na ho
Sunaon qissa-e-furqat agar burra na lagy
Bahut he sadda hai tu, aur zamana hai ayyar
Khuda kary ktujhy shehr ke hawa na lagy.
_____♡_____
Waqt acha bhe ay ga Nasir
Gham na kar zindagi pari hai abhi.
وقت اچھا بھی آئے گا ناصر"
"غم نہ کر زندگی پڑی ہے ابھی
About Nasir Kazmi
His work often explores themes of love, loss, longing, and the complexities of human relationships. He has a remarkable ability to convey powerful emotions through his words, which resonate with readers and leave a lasting impression. Kazmi has left an indelible mark on Urdu Poetry with his unique style and has a prominent place among the prominent poets of the language.
Here you can read Mirza Ghalib Poetry in Urdu
My Instagram account Zube