Amjad Islam Amjad Poetry and Ghazal
Here we are sharing some amazing poetry collection of Amjad Islam Amjad. Read and share your favorite poetry on Facebook, Twitter and Instagram.
حساب عمر کا اتنا سا گوشوارا ہے
تمہیں نکال کے دیکھا تو سب خسارا ہے
ہر ایک صدا جو ہمیں بازگشت لگتی ہے
نجانے ہم ہیں دوبارہ کہ یہ دوبارہ ہے
عجب اصول ہیں اس کاروبار دنیا کے
کسی کا قرض کسی اور نے اتارا ہے
نجانے کب تھا! کہاں تھا مگر یہ لگتا ہے
یہ وقت پہلے بھی ہم نے کبھی گزارا ہے
یہ دو کنارے تو دریا کے ہوگئے، ہم تم
مگر وہ کون ہے جو تیسرا کنارا ہے۔
Hisab umer ka itna sa goshwara hai
Tumhein nikal k deikha to sub khasara hai
Har aik sada jo hamein baz'gasht lagti ha
Najane hum hain dobara k ye dobara ha
Ajab asool hain is karobar e duniya k
Kisi ka qarz kisi aur ne utara ha
Najane kab tha, kahan tha magr ye lagta ha
Ye waqt pehly bhe hum ne kabhi guzara ha
Ye do kinary to darya k ho gaye, hum tum
Magr wo kon hai jo tesra kinara ha.
---------------
Kahin by'kinar thi Khuwaishen, kahin by'shumar thi uljhane
Kahin Ansuon ka hajoom tha, meri baat bech mein reh gaye.
------------
Kehty thy aik pall nah jiyen gy tery bagair
Hum dono reh gaye, wo waada nahe raha.
------------
Mumkin nahin hai mujh sy ye tarz-e-munafiqat
Duniya tery mizaaj ka banda nahe hun main.
------------
Koi mosam ho, dil mein ha tumhari yaad ka mosam
K badla he nahe jana tumhary baad ka mosam.
------------
Amjad Islam Amjad Shayari
Tujhy kiya khabar hai k raat bhar
Tujhy deikh pane ko aik nazar
Raha sath chaand k muntazir
Teri Khirkion sy idhar koi.
------------
Ye jo sakhta sy hain qehqy mery dil ko lagty hain bojh sy
Wo jo apny aap mein mast ho mujhy us hansi ki talash hai.
------------
Kisi ke aankh jo pur'nam nahi hai
Na samjho ye k is ko Gham nahe hai.
------------
Shoor karty hain toot'ty rishty
Hum ko ghar chayea makaan nahe.
------------
Chehry py mery zulf ko philao kisi din
Kiya roz garajte ho baras jao kisi din.
------------
Har baat janty huwy bhe, dil manta na tha
Hum jany aitbaar k, kis marhly me thy.
------------
Wo aur hon gy k jin ko amjad
Naye manzar ke chah hogi
Main us k chehry ko deikhta hun
Main us k chehry ko deikhta tha.
------------
Bichad k tujh sy na je paye mukhtasir ye ha
Is aik baat sy nikli hai dastaan kiya kia.
------------
Mosam mosam aankhon ko aik sapna yaad raha
Sadiyan jis mein simat gayin wo lamha yaad raha
Qos-e-Qazza k rang thy saaton us k lehjy mein
Sari mehfi bhool gaye wo chehra yaad raha.
------------
Amjad Islam Amjad Poetry 2 lines
Pair ko demak lag jaye ya Adam-Zaad ko Gham
Donon he ko Amjad hum ne bachty deikha kam.
------------
Hairat se sary lafz usy deikhty rahy
Baton mein apni baat ko kaisa badal gaya.
------------
Kisi charagh ny pochi nahi khabar meei
Koi bhe phool mery naam par nahe aya.
------------
Us k lehjy mein barf thi lekin
Chu k deikha to hath jalny lagy.
------------
Tu nahe tera isteara nahe
Asman pr koi sitara nahe
Wo mery samny sy guzra tha
Phir bhe main chup raha pukara nahe
Wo nahe milta aik baar hamein
Aur ye zindagi dobara nahe
Har samandar ka aik sahil hai
Hijr ke raat ka kinara nahe
Hosaky to nigah kar lena
Tum py kuch zoor to hamara nahe.
------------
Nah koi gham khizan ka hai, nah koi khuwaish hai baharon ke
Hamary sath hai Amjad kisi ke yaad ka mosam.
------------
Wo samny hai phir bhe dikhae na dy saky
Mery aur us k bech ye dewar kon hai.
------------
Aiyno ke tarah deikh bhaal chahty hain
K dil bhe tootein to phir sy jurra nahe karty.
------------
Baat to saari qeemat ke hai achy achy bik jaty hain
Kiya kiya mehngy log jahan par, kitny sasty bik jaty hain.
------------
آنکھوں کا رنگ، بات کا لہجہ بدل گیا
وہ شخص ایک شام میں کتنا بدل گیا
کچھ دن تو میرا عکس رہا آئینے پہ نقش
پھر یوں ہوا کہ خود مرا چہرہ بدل گیا
قدموں تلے جو ریت بچھی تھی وہ چل پڑی
اس نے چھڑایا ہاتھ تو صحرا بدل گیا
کوئی بھی چیز اپنی جگہ پر نہیں رہی
جاتے ہی ایک شخص کے کیا کیا بدل گیا۔
------------
Best Poetry of Amjad Islam Amjad
بھیڑ میں ایک اجنبی کا سامنا اچھا لگا
سب سے چھپ کر وہ کسی کا دیکھنا اچھا لگا
اس عدوئے جاں کو امجد میں برا کیسے کہوں
جب بھی آیا سامنے وہ بے وفا اچھا لگا۔
------------
Aik insaan hai zindagi jesa
Aur wo meri zindagi mein nahe.
------------
Lahu me terty phirty mallal sy kuch hain
Kabhi suno to dilon mein sawal sy kuch hain.
------------
Mujhy wehm tha tery samny nahe khul saky ge zuban meri
So haqeeqtan bhe wahe huwa meri baat bech mein reh gaye.
------------
Zindagi jawdani bhe nahe
Lekin is ka koi saani bhe nahe.
------------
Raazon ke tarh utro mery dil mein kisi shab
Dastak py mery hath ke khul jao kisi din.
------------
Meri raatein teri yaadon sy saji rehti hain
Meri sansein teri khushbu mein basi rehti hain
Meri aankhon mein tera sapna saja rehta hai
Han mery dil mein tera aks bassa rehta hai.
Amjad Islam Amjad is a famous Pakistani writer who has made significant contributions to Urdu literature. He is a master wordsmith whose poems, plays and songs have won the hearts of people from all walks of life. Amjad has a unique ability to convey deep emotions through his writing which has earned him widespread acclaim and recognition.
Her work often explores themes of love, loss, and the human condition, exploring the complexities of life in a way that is poignant and relatable. Amjad's literary prowess has made him a cultural icon in Pakistan and beyond, and his legacy continues to inspire generations of writers and readers alike.