Jaun Elia Poetry
Jon Elia was a famous poet of Pakistan, philosopher, and scholar known for his unique style of Urdu Poetry.
John Elia sad poetry reflected his life experiences, marked by tragedy and pain. He grew up in a period of political upheaval and witnessed the horrors of the partition of Indo-Pak.
He was a literary icon who left a lasting impression on Urdu literature. His poetry reflects his deep philosophical insights and experiences of pain and tragedy. His legacy inspires and fascinates readers, cementing his place as one of the great poets of Urdu Adab.
John Elia sad poetry
John Elia sad poetry |
Sub sy pur'amn waqiya ye hai
Aadmi aadmi ko bhool gaya..
Us ky honton par rakh kar hont apny
Baat he hum tamaam kar'rahy hain..
Hai wo ghurbat k ab mery dil mein
Kuch nahi hai mery siwa jana'n
Kal ka din hey kal ka din ay Jaun
Kaash is raat hum bhe marr jayn
Banhon sy meri wo abhi rukhsat nahi huwa
Par gum hun intizaar mein us ke abhi sy main
Main zinda hun abhi tak..?
Yahi dukh mujhy maar dale ga..
Jaun Elia best poetry
Main agar keh bhi dun chaly jao
Tum mera aitbaar mat't karna..
Ab hmara makaan kis ka hai
Hum tu apne maka'n k thy he nahe..
Aur tu kuch nahi kiya main ne
Apni halat tabah kar'li hai..
Baatein karne lagy ho meethi meethi..!
Mujh se koi kaam padh gaya hai kiya..?
John Elia poetry
Sochna kal bhe jurm tha
Aur aaj bhe jurm hai..
Meri khamoshi'a musalsal ko
Aik musalsal gilla smjh lijia..
Hain daleelin tery khilaf mgr
Sochti hun teri himayat mein..
Tujh sy mujh ko nijaat mil jay
Tu duaa kar k ho bhalla mera..
Wo kon hai, jane jo kuch nahe sunta
Hai jane kon jo kehta ha ab bhe aa jao..
Hum ko yaaron ne yaad bhe nah rakha
Jaun yaaron k yaar thy hum tou..
Barbaad hogai meri dunya'ay justuju
Dunya'ay justuju meri dunya chali gai..
Apne nakhon badha lijia,
Mery baad khud ko nochein ge aap..!
Poetry of Jaun Elia
Be'dilli ! Kya yon'he din guzar jayen gy?
Sirf zindah rahy tou hum marr jayen gy..
Mudaton un k tassavur mein guzarin raatein
Mudaton un ki tawaja se grayzan bhe rahy..
Hain ab hum aur zadd hai hadson ki
Humein azaad farmaya gaya hai..
Mujhe apny marne ka gham nahi lekin
Hay! Main, tujh se bichad jaon ga..
Suno mujh se pehle mat marna
Main ne tumhein apni moat ka gham dena hai..
John Elia poetry in Urdu text
Hum bahut gehri udaasi k siwa
Jis sy bhe milty hain km milty hain..
Main raha umer'bhar juda khud sy
Yaad main khud ko umer'bhar aya..
Main khud nahi hun koi aur hai mery andar
Jo tum ko ab bhe tarasta hai ab bhe aa jao..
Elia Jaun kuch nahe karta
Sirf khush'bou mein rang bhadta hai..
Masoom kis'qadar tha main agaaz-e-ishq mein
Aksr tou us k samny sharmaa gaya hun main..
Jan Elia Best Lines
Ab main koi shaks nahi
Us ka saaya lagta hun..
Daleelon se usy qayal kiya tha
Daleelein de k ab pachta rahy hain..
Kam'sini mein bhut shareer thi wo
Ab tou shetan hogae ho'ge..
Ic smaj mein jo admi burra nahe hai,
Wo be'waqoof hai..
Khuwaishen dil ka sath chood gayen
Ye aziyat badi aziyat hai..
Main kesy yaad rahun ga tumhein
Hyy! mery tou hum'naam bhe bahut km hain..
Jaun Elia poetry 2 lines
Gumaan nahi hai, Yaqeen hai, mera yaqeen karo
Koi kisi ka nahi hai, mera yaqeen karo..
Mohabbat kikai qismein hain aur
In mein se aik qism nfrat bhe hai..
Dushmano tum ko khoof kis ka
Maar dalu k main akela hun..
Tum koi baat kiyun nahi karty
Phir koi baat ho'gai hai kia..
Shyd mujhy kisi se mohabbat nahi hui
Lekin yaqeen sub ko dilata raha hu main..
Hum jo be'haal zaar baithy hain
Dil ki dilli bhe haar baithy hain..
Ta'ajub hai ke ishq-o-ashqi sy
Abhi kuch log dhoka kha rahy hain.